Posts

Showing posts from May, 2019

ankhe (hinglish version)

 Ankhe (eyes) Bahut  khubsurat shae  hoti hai ankhe khamoshiyon  mei bhi bolti hain  ankhe Dilo ke raaz kholti  hain ankhe Dil mei dard ho to, roti hain ankhe khushi mei  bhi , palkae bhigoti  hai ankhe gussae mei bhi, laal hoti  hain ankhe Pyaar mei bhi kamaal krti hain ankhe Dar mei, sikud jati hai ye ankhe sharmae to,jhuk jati hain ankhe pyar mei bhi aksar machalti hain ye Ankhe Dil ki Zuban bolti hain ye Ankhe koi kuch bhi kahe  sach bolti hain ye ankhe zuban ke jhuth ki  pol kholti hain ye ankhe

shrarti dost (hinglish version)

Baat sunau tumhe  tinku ki Jo tha  mera ek dost shrarti Uski maa  thi usae roz  tadti(tadti- warning someone) Teacher bhi thi jissae  roz maarti Ek din aisi baat hui Ghar ke phone pe ghanti baji Usne uthaya jakar  phone Aur pucha "hanji kon" Samnae se ek uncle bolae Beta daddy ko  dena phone  Tinku bola "Uncle  daddy  busy hain"  Uncle bolae" Beta mummy ko hi bulalo" Tinku bola" Uncle mujhe hi bta do" Uncle bolae" Beta koi  aur bada hai?"  Tinku  ne uttar diya" Uncle police vale uncle hai Woh bhi thodi dur  khadae hain" Aab tak  uncle pareshan ho chukae thae aur bolae "beta itne sab log hai ghar pe Fir bhi tum kisi se baat kyu nhi krva pa rahae" Tinku  dhemae  svar mei bola  " Uncle  wo sab mujhe  hi dhund rhae hai" 😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆😆 last line  english translation: Uncle  they all are searching me only

forgiveness(shama hinglish version)

karke  shama  apne  dushmano  ko le  tu  apna dost bna bahut bojh  hai iss dil par thoda sa  toh hta  Ye dushman bhi , Apne  hi to hain kuch khatte  meethae pal hi to hai  inn kadvae  palo ko bhul kar Pyar ki nayi  tasveer  bna thaan  mat ,  Na bhulnae  ki Mat aadat  bna ,  muh ko fulne  ki zara  hath ko  aaagae  badaa aur thoda  sa  muskuraa Chot  jisne di  Tujhe wo kab ka aagae bad gya aur tu tha ki vahi par  khad gya uska kuch na ukhra  magar  tera  mann  sad gya  soch kisko deni thi tunae sazaa aur kispe sitam  pad gya jo ek shama ko dil pe  apne jarr gya  samajhlo  aatmik sidi  chad gya Miti ka putla hai  tu iss  jag  mei ghumnae  aaya  hai jab ye jeevan  nhi sda ke liye kyu  inn galtiyo ko  basaysa  sda ke liye