Dosti kya hai?

Dosti hai duniya ka sabse khubsurat Rishta,
Nahi  hai   koi   muqabla   jiska,
Dosti  na   kavel  paas  lati  hai  ajnabi  ko,
Balki  thaam  leti  hai  dur  jaate  har  karibi  ko
Dost woh hai jo dena chahe apko har khushi
Khush ho jae dekhkar apki  ek hasi
Dost woh nhi jo mar jae apke  bina
Dost woh hai jo  jee na sakae  apke bina
Har rishte ki shuruaat  hai  dosti
Har rishte ka adhaar hai dosti
Agar dosti ho sachi toh  khushnaseeb  hai aap
Warna duniya mei  matlabi kon nahi  hai janaab
Dost bharta  hai dum  apke  dum  se
hota hai shamil  apki har khushi  aur gum mei
Bache jab jawani mei kadam rakhte hai
Tab  Maa Baap bhi dost bankar  nazar rakhte hai
Ladka  Ladki bhi toh dosti  se hi nae rishto ki  neev rakhte  hai
Mauz  masti bhi toh dosto  mei hi hoti  hai
Varna Baki duniya toh bas kosti aur  roti hai
Pal doh pal ki hai ye zindagi
Haste muskurate  jee lo khushi khushi
Jo mil jae ,Ussae has ke mil lo
Jo bhul jae ussae  bhi dua  doh
 Kya   pta kab ye  saans  tham jae
khushiya  itni   baanto ki kabhi  gum na aae

Comments

  1. Very nice lines dear ....keep it upp

    ReplyDelete
  2. Very nice... keep it up... true form n true definition of friendship

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

beti ka dard

Meri dosti

bhul ja